Assalam
oalaikum,
Is
post mein main un sabhi prakaar ke kala jadu ka vistrita varnana karunga jo log
jadugaron ko rupya de ker karwaate hain ajkal.
Yadi
koi amil kamel athwa jadugar apne karya shetra mein kushal ho to uske liye koi
bhi kaarya karna asambhav nahin hai. Kewal kisi vyakti ko mritu se surakshit
karna athwa kisi ko punah jeevan pradaan karna kisi bhi jadugar/amel-kamel ke
vash mein nahin hota. Is ke atirikt har karya sambhav hai.
Kala
jadu ke sabhi prakaar:
·
miya or bewi ka beach main jo relation ha us ko vichhedan=kisi
ke bhi sukhi daampatya jeevan mein baadha daal dete hain kale jadu se.
Parinaamswaroop, dampati ek duje se choti moti baton per vivaad karne lagte
hain aur phir dekhte hi dekhte samasya jatil ho jati hai aur dampati ke
paarasparica sambandh tutne lagte hain. Woh
ek duje ke shatru ban jate hain anjane mein aur yadi sahi samay per jadu
katwaya na gaya to unke beech vivah vichhed bhi hona sambhav hai.
·
Kabhi kabhi shatru kisi dampati per is
prakaar ka jadu kar wa deta hai ke jab bhi patni apne pati ko dekhti hai to
uske man mein ghrinaa aur krodh utpann ho jata hai jis ke karan apne hi pati ka mukh dekhna sahan nahin kar
paati hai. Is jadu ke kaaran pati patni ke sabandh mein tanaavpurn stithi
utpann ho jaati hai.
·
Jadu ke dwara kisi bhi vyakti ke sar mein
atyant peeda utpann ki jaati hai. Aise vyakti ko kisi bhi peeda haari aushadhi
se labh nahin pahunchta. Sar mein achanak peeda hone lagti hai ya tees maarti
hai.
·
Jadu dwara kisi ke bhi kanth mei khujli
utpann kar di jati hai aur us vyakti ke kanth ke vaani nahin nikal pati hai.
Aushadi se bhi is samasya ka samaadhaan nahin ho pata.
·
Kisi vyakti per jadu karwa ker us ka saans
lena kathin kar diya jata hai. Aise vyakti ko is problem ka tor per sans lena main problem hote hai. Usko kabhi apne hriday per bhaar ka aabhaas hota hai to
kabhi chhaati per. Aise vyakti hadbadaya hua aur vyaakul rahta hai.
·
Jadu ki vidya dwara kisi vyakti ko bahra kiya
ja sakta hai. Uski sunne ki shamta ko kam kar diya jata hai aur aise vyakti ko
kaan mein peeda bhi hoti hai evan tees bhi uthti hai.
·
Kisi stree per kala jadu karwa ker uske maasikdharm
(menses) ke baad bhi raktstraav jaari rakha jaata hai. Is ke kaaran stree
nirbal ho jaati ha aur apne pati ke sath samanya roop se sambhog karne se bhi
vanchit ho jati hai. Nirantar raktstraav (vaginal bleeding) hone ke karan stree
bahut peeda mein pad jaati hai.
·
Kabhi kabhi shatru kisi vyakti ko jadu ka
shikar aise banaate hain ke uske shareer mein atyant peeda utpann karwa dete
hain. Peeda sharer ke vibhinn bhaagon mein ho sakti hai. Lekin vyakti samajhta
hai ke shayad usko kamzori ho gai hai ya usne zyada parishram kar liya hai
·
Kisi vyakti ko kala jadu dwara netrheen banaa
sakte hain jadugar. Aise vyakti ki praarambh mein netron ki jyoti ghat-ti hai
aur dheere dheere karke woh vyakti netrheen ho jata hai.
·
Kabhi kabhi jadugar apne shikar ke daanton
evan masudon ke piche pad jata hai kyunki woh jaanta hai ke kisi ka bhi swaasth
uske daanton per nirbhar karta hai. Atah, jadugar kisi vyakti ko daanton mein
peeda athwa keeda lagna ya masudon mein sadan/ sujan jaise rogon mein daal deta
hai.
·
Kisi vyakti ko dukhi karne ke liye jadugar
uski hridaya gati badhaa dete hain jiske kaaran vyakti ghabara jata hai aur
samajhta hai ke uska raktdaab badh gaya hai.
·
Sifli jadu mein jadugar apne shikar ko tez
bukhaar kara sakta hai. Is prakaar ke bukhaaron mein sab se adhiktar vipatti
poorna hota hai moteejharaa (typhoid) aur is bukhaar ka agar sahi samay per adhyaatmik
chikitsa na ki jae to us vyakti ki stithi bahut bigad sakti hai
·
Ek prakaar ke jadu mein sar bahut chakraata
hai. Netron ke saamne andhkaar chhaa ja jata hai aur chakkar aate hain.
·
Jadu dwara kisi shikaar ki smriti ko bhrasht
kiya ja sakta hai jis ke karan vyakti apne sambandhiyon ko yahan tak ki apne hi
bachon ko tak nahin pehchaan paata. Aise vyaktiyon ki budhhi bhrasht ho jaati
hai.
·
Ek prakaar ke sifli jadu mein shikar ko
bhoola bhatka sa kar diya jaata hai. Aise vyakti ki sthiti dayneey hoti hai
kyunki uska mastishk kaam nahin kar paata hai saamanya roop se jis ke kaaran
uske dainik kaaryon per prabhaav padta hai. Yadi aisa vyakti kisi daftar mein
karmchaari ho to uske sahkarmiyon ko kathinaai hoti hai kyunki aisa vyakti bar
bar vastuaon ko rakh ker bhool jata hai aur mahatvpoorna aadeshon ka paalan
nahin kar sakta.
·
Visheshkara padhne likhne wale bachon ya
karmchaariyon per aisa jadu karwa diya jata hai jis ke kaaran aalsi ho jate
hain. Unka kisi kaarya mein man nahin lagta aur wohh sust pade rahte hain
·
Jadugar kisi ke bhi bache ko vyabhicharee aur
ashleel bana sakta hai jis ke kaaran uske maata pita ko samaj mein apayasha ka
saamna karna pad sakta hai aur chintit
rahte hain
·
Yadi
kisi ka shatru uska vinaash chahta ho to jadugar ki sahaayta se us vyakti ko
sharab evan charas-gaanje ki lath lagwa deta hai. Shatru yeh jaanta hai ki ek
baar uska shikaar gandi lathon mein pad jae to us ka phir sudharna asambhav
hai. Yadi aisa latiyaa vyakti jeevit bhi rahe to uske jeevan arth heen hi hoga
·
Jadugar apne shikar ko madira ki lath lagaa
sakta hai taaki wohh vyakti apne ghar mein lade jhagde aur shanti bhang kare
·
Kala
jadu dwara kisi ki kunwaari kanya ko vaishya banaya jaata hai jis mein us kanya
ka koi dosh nahin hota kyunki yeh sab wohh jadu ke prabhaav ke kaaran karti
hai. Yadi kisi purush ko anyaagaamee bana diya gaya ho to us ke piche kisi aisi
stree ka hath hota hai jo us purush ke sath shaareerik sambandh banana ki
abhilaashi ho. Is ke vipareet yadi kisi mahila per koi purush is prakaar ka
sifli jadu kar wa de to wohh us mahila ko apne vash mein kar ke svayama ko
trupt kar leta hai
·
Kisi kisi avashta mein jadugar apne shikaar
ko Allah paak ka varnan karne se, Rasool Paak (pbuh) per Durood bhejne se evan
Quran paak ka paath karne se rokne ka prayaas karta hai. Yeh sab jadugar us
avastha mein karta hai jab bhayabheeta hota hai ke kahin bhakti ki shakti se us
ka jadu kat na jae aur us ko baarambaara naye sire se jadu na karna pade.
·
Ek prakaar ke jadu mein shikaar ko shanti se
sona nahin diya jata hai jis ke karan vyakti raatbhar vyaakul rahta hai aur us
ko na to gehri neend hi aa paati hai aur na hi koi sapna dikhta hai. Atah,
vyakti nidra rahita kar diya jaata hai.
·
Yadi jadugar apna man banaa hi le to phir
kisi shleela stree ko bhi ashleela kar ke aur usko vaishya banaane mein us ko
samay nahin lagta. Sammohita hui vi us stree ke andar laaj nahin bachti aur apni maryaada ka ullanghana kar deti hai. Aisi
stree ashleel vastr dhaaran karke apna angpradarshan karti hai aur purushon ko
mohit even aakarshit karti hai. Wohh purushon ko badhaawa deti hai taaki woh
unhe sambhog ke liye phuslaa sake. Aisi jadu ki shikaar mahilaaon ka yaunaruchi
(sex drive) badhaa di jaati hai.
·
Jadu
ke peedit kuch vyaktiyon ke pet mein dard rahne lagta hai aur unhe vibhinn
prakaar ki paachan se sambadhit pareshaniyan hone lagti hain. Kabhi achanak
ubkaai aati hai evan kabhi tez bhook lagti hai parantu jab khana khane baithte
hain to bahut sheeghra pet bhar jaata hai. Pet dard bhi hota hai aise vyaktiyon
ko bahudhaa.
·
Ek prakaar ke jadu mein shikaar ki chhati
mein jalan hoti hai aur usko aisa aabhaas hota hai jaise us ne bahut tez mirch
wala pakwaan khaya ho.
·
Manushya ka swaasth uske kaleje per nirbhar
karta hai. Yadi kaleje samanya tarah se kaarya nahin karta to na to us vyakti
ko sahi se bhook lagti hai aur na hi us ke shareer mein rakt ka utpaadan
samanya roop se ho sakta hai. Aisi stithi mein vyakti kamzor hota chala jata
hai aur nai nai prakaar ke rog usko gher lete hain. Jadugaron ko is baat ka
gyaan hota hai is liye woh apne shikaar ke kaleje ki kriya mein baadha daal
dete hain.
·
Kisi sukhi dampati ke jeewan mein rang mein
bhang karna ho to jadugar ek prakaar ka hathkunda apnaate hain. Us ke parinaam
swaroop jab koi patni apne pati ko dekhti hai to usko pati ke chahre mein kutte
ki ya shaitan dikhta hai. stree yeh
nahin samajh paati hai ke jo us ko dikh raha hai woh kewal ek dhoka hai. Woh
uttejit ho ker cheekh pukaar machaane lagti hai.
·
Jadugar ki sahayta se kisi bhi vyakti ka
shatru usko nipunsak bana sakta hai jis ke kaaran vyakti ko ling ke uttejan ki
samasya ho sakti hai. Chikitsa ke baawajud vyakti apni patni se sambhog nahin
kar paata hai ling ke khade na ho paane ke kaaran.
·
Ek prakaar ke jadu mein ek putla tayyar kiya
jaata hai jis ko kisi stree ki raah mein dabaa diya jaata hai jahan se woh aana
jana karti hai. Is ke piche ka rahassa yeh hota hai ki wohh stree kabhi putr ko
janam nahin de paati hai. Uski kewal putriyaan hi hoti hain aur woh aur us ka
pati putr ka sapna hi dekhte rah jaate hain.
·
Jadugar apni buri nazar bachon per bhi daalte
hain aur apne graahak k ek ishaare per kisi bhi nirdosh bache per kala jadu kar
dete hain jis ke kaaran woh bacha nirbal hota jata hai din prati din aur
chikitsa ke baawajud swastha nahin ho
paata aur uske praan bhi ja sakte hain.
·
Jadugar yadi chahe to woh kisi garbhwati
mahila ke bache ko uski kok ke andar janam se pahle hi khatam kar sakta hai
jadu se. Aisi stithi mein mahila ke bhi jeewan khatre mein asakta hai.
·
Shatruta mein log jadugar ki sahaayta se kisi
vyakti ke pashu ko bhi aswastha kar dete hain.
·
Is ke atirikt pashuon ka dudh sukhaa diya
jaata hai taaki unka bacha dudh na pi sake. Yadi koi gaae bhaens athwa bhed
bakri garbhwati ho to uska bacha kok mein hi mar jaata hai aur yadi usne bache
ko janam de diya to bhi woh jeevit nahin hota.
·
Kisi vyakti ko uski patni ka shatru banaane
ke liye kuch log jadu ki sahaayta lete hain. Ek prakaar ke jadu dwaara pati
patni ke paarasaparik sambandh nasht kar diye jate hain aur pati apni patni ko
apna shatru samjhne lagta hai aur usse bair rakhne lagta hai. Yadi koi usko
samjhaane bujhaane ka prayaas karta hai to pati us beech bachaav karne wale
vyakti ko bhi apna shatru samajhta hai jadu ke prabhaav se
·
Jadu se kisi bhi kunwaari ladki ke vivaah
prastaavon ko rok diya jaata hai jiske kaaran ladkiyon ka koi vivaah prastaav
nahin aata. Yadi aa bhi jae jaise taise lekin kisi nishakarsh per nahin pahunch
paata.
·
Kisi vyakti ko peedit karne ke liye shatru
jadu dwaara uske jodon mein peeda utpann karwa dete hain jis ke kaaran vyakti
chalne phirne ke bhi yogya nahin rahta. Peeda kabhi atirikt ho jati hai aur
kabhi kam.
·
Kisi sukhi dampati ki jeevan mein yadi vish
gholna ho shatru ko to kuch is prakaar
ka jadu kar waa dete hain ke patni ke man mein sambhog se ghrinaa utpann ho
jaati hai. Patni ko pati se sambhog ki koi ichha nahin rahti.
·
Jadu se kisi stree ko kuroop bana diya jata
hai aur jo bhi us stree ko dekhta hai uska ukh dekh ker usko chudail, daayan
aadi naamon se pukaarta hai.
·
Jadu se kisi stree ki kok baandh di jati hai
jiske parinaam swaroop woh garbhwati nahin ho paati hai aur svayam ko doshi
maanti hai. Chikitsa se bhi us stree ka rog dur nahin hota kyunki uske baanjh
hone ke piche kala jadu ka hath hota hai.
·
Kisi ka shatru jadu ki sahaayta se us vyakti
ke bharan poshan mein baadha daal sakta hai jiske kaaran us vyakti ko aae din
haani ka saana karna padta hai. Us ki aarthic stithi bigaad di jati hai.
·
Jo vyakti kisi ke liye man mein dvesh bhavna
rakhta ho to woh jadu ke dwara us ke sukhi evan samriddha parivaar ko ujaad
sakta hai. Parivar se logon ki paarasparic sneh nasht kar diya jata hai aur har
sadassya dusre ka shatru ban jaata hai.
·
Jo vyakti jadu ke shastra ka prayog karte
hain woh saamaanyatah atyant krura hote hain aur wohh apne shikar ko mrityu ke
mukh tak pahunchaa sakte hain. Is kaam ke liye unhe ek prakaar ka sifli jadu
karna hota hai jis se shikar kisi nirupaay rog ki vipada mein pad jata hai.
·
Ek prakar ke jadu mein kisi vyakti ki patni
to uske aage apmaanit kiya jata hai jis ke kaaran daampatya jeevan per
hanikarak prabhaav padta hai.
·
Kisi sukhi dampati ke beech tanaav wali
stithi utpann karne ke liye kabhi kabhi shatru aisa jadu kar wa dete hain jiske
phalswaroop pati ke man mein patni ke bare mein sandeha uthne lagte hain aur woh
apni patni ko shak ki nazar se dekhne lagta hai.
·
Yadi kisi vyakti ka pad ooncha hai to aise
mein koi irshyaalu vyakti kala jadu dwara na kewal us ka padachyuta karwa sakta
hai balki uski padaavanati bhi kar wa sakta hai. Aisa vyakti jis kaaryalay mein
kaarya karta hai wahan uski sahkarmi usse ladna jhagadna aarambh kar dete hain.
·
Kisi kisi vivaahit stree ka jadu dwara vivaah
viched karwa diya jata hai. Yahi nahin balki yadi woh stree dusri jagah vivaah
karti hai to wahan bhi yehi samassya khadi ho jati hai
·
Yadi jadugar apna man bana hi le to uske liye
kisi dhanvaan vyakti ko dekhte hi dekhte nirdhan banana kafi saral hai.
·
Kisi bhi vyakti ko visthaapita kar diya jata
hai jis ke parinaaswaroop woh vyakti niraashraya ho ker ek jagah se dusri jagah
bhatakta rahta hai
·
Jis vyakti ke ooper kala jadu kar wa diya
jata hai usko uttejit karne ke liye to aisa vyakti har samay gusse se laal
peela hota rahta hai aur sab se ladne marne ko tayyar rahta hai
·
Kisi
stree ko peeda mein daalne ke uddeshya se ek prakaar ka jadu karwaya jata hai
jiske kaaran stree ki chhaati mein peeda rahti hai.
·
Kisi ko apne prem ke jaal mein phansaane ke
liye jadu kiya jata hai jo adhiktar vivaahit mahilaaen karwaati hain apne pati
ko apni ore aakarshit rakhne ke liye.
apni yoni shraav per kuch padhwa ker usko apne pati ko pilaa deti hain
jis ke kaaran pati kutte ke tarah unke piche ghumne lagta hai. Purush bhi kisi
stree ko apne veerya per kala jadu karwa ker pilaa sakta hai jisse woh stree
purush ke vash mein aa jati hai. Yeh us purush per nirbhar karta hai ke stree
ke sath kya karta hai kyunki stree jadu
ke prabhaav mein hoti hai aur apne hosh mein nahin hoti.
·
Kisi
kisi vyakti ko bhaybheet kar diya jata hai aur
bina kisi kaaran ke har samay darta rahta hai.
·
Sehar
khamol naamak jadu jis per kiya jata hai woh vyakti sust ho jata hai
·
Mirgii rog kala jadu dwara bhi karwaya ja
sakta hai jisse chhutkaare pane ke liye vyakti ko aadhyatmik chikitsa ki
aavashyakta hoti hai
·
Irshyaalu vyakti kisi per aisa jadu karwa
dete hain jisse mukh ke avashta bigad jaati hai aur jadu ke shikaar ko pholaa
rog (paralysis) ho jata hai. Vaidya se chikitsa karwaane ke baawajud bhi rog dur
nahin hota aur rogi khana pine se bhi vanchit ho jata hai.
·
Kabos naamak jadu mein vyakti sadev nidralu
rahta hai aur usko bhayaavaha drishya athwa mukh dikhaae jate hain bhaybheet
karne ke liye
·
Ek prakaar ke jadu mein vyakti ko bina kisi
rog ke hi sar mein peeda evan tees ki samassya hone lagti hai aur uske netron
ke aage andhkaar chha jata hai
·
Kala
jadu dwara apna ullu seedha karne wale vyaktioyon ki parapeeraka ka ek aur
pramaana is jadu ki prakaar se milta hai jiske dwara woh kisi ke nikaah/vivaah
mein baadha daal dete hain. Is jadu ke kaaran nikaah antim kshana mein vichheda
ho jata hai. Ya to kanya ki budhhi bhrasht kar di jaati hai aur wohh us vivaah
ko sweekriti nahin deti athwa var mana kar deta hai.
·
Jadu dwara kisi vyakti ko sheeghrapatana (premature
ejaculation) ko rogi banaya ja sakta hai aur aushadh lene ke baawajud upchaar
nahin paata.
·
Kabhi kabhi dveshi log kisi stree ka jadugar
ki sahayta se maasika dharma band karwa dete hain.
·
Janon naamak ek haanikaraka jadu se kisi
vyakti ko vikshipt banaya ja sakta hai aur woh is had tak pagal ho jaate hai ke
usko baandh ke rakhna padta hai.
·
Antatah, masaan naamak jadu mein jale hue
hinduon ke shav se bachi hui raakh ko kisi bache ke khane mein milaa ker
khilaya jaata hai jisse wohh nirbal ho jata hai aur uski mrityu ho jaati hai.
Is prakaar ka jadu irshyaalu mahilaayen apne sautele bachon per ya shatruaon ke
bachon per karwaati hain.
Mujhe
jitney prakaar ke jadu ka gyaan tha un sab ka maine is post mein varnana kar
diya hai.