Amel Soname Contact

agar kisi ko hum se contact karna ha to wo email ka zarya hum se contact kareen . dhoka bazoo se hoshyaar rahe jo amel soname naam ki jaise email,website, ya social media websites per id ya telephone number dal kar logo ko dhoka de rahe ha or apna app ko amel soname naam ka bohat bara Amel ya jadugar bata kar logo se paisa lay rahe ha . hamara ahsa logo se koi talooq nahi ha or na he hamara ahsa logo se kohi talooq ha jo amel soname naam se astana ya office khul ka betha ha . hamare kohi telephone support nahi ha. hamare sirf email support ha .is email k ilawa hamare kohi dosare email support nahi ha .email yeah ha amel_soname@yahoo.com

hamara is website www.amelsoname.com se kohi talooq nahi ha yeah hamare nahi ha or na he hum se munsalik ha

Saturday, April 26, 2014

UCCHA RAKATA CHAAP KARNE WALE JADU KA UPAAYA

Assalam oalaikum,
Yun to uccha rakta chaap ka rog saamanya hai parantu logon ko iske pichhe chupe hue rahassya ka gyaan nahin hota hai. Uccha rakta chaap ek aisa rog hai jo kisi shaareerik kaarak ke kaaran na ho ker jadu ke preton dwara utpann kiya jaata hai. Yeh ek vishesh shaaririk avastha hai jis ko jadugar apne uddeshya ki poorti ke liye yojana-baddha tareeke se utpanna karta hai.
Sankshepa mein, jadugar apne preton dwaara jadu ke shikaar vyakti ke shareer  mein uccha rakta chaap ki samassya utpann  karwa deta hai kyunki aisi sthtiti mein vyakti belagaam ho jaata hai evan jagudar ko us se aise mein ku-karma karwaane mein saralta mil jaati hai. Jadu dwaara peedit vyakti apne man ko vyash mein nahin rakh paata hai jis ke kaaran woh aisa durvyahavaar kar guzarta hai jis se usko atyadhik haani pahunchti hai. Is prakaar ke jadu ki kaaryapraanali yeh hai ki jab jadugar ko apne shikaar se kisi prakaar ka koi bakheda khada karwaana ho athawa koi aisa kukarma karwaana ho jo koi bhi budhhimaan vyakti samanya paristhitiyon mein kabhi nahin karega to woh apne preton ko aadesh deta hai ke, ‘Jao aur us vyakti ko uttejit karo’. Pret athawa jinnat apne shikaar ke paas turant ja pahunchte hain evan uske mastishk mein ghus ker usko apne vash mein lete hain. Fir woh prêt wahan baith ker vyakti ke poorna shareer ko apne niyantrana mein le lete hain. Kisi kisi maamle mein jadugar prêton ko kisi nirdosh vyakti ki hatya karna ka bhi aadesh de deta hai. Aise mein prêt us vyakti ka rakta chaap itna badhaa dete hain ke uske mastishka ki taantrika phat jaati hai evan us vyakti ki mrityu ho jaati hai.
Isi prakaar jadugar ke aadesh per prêt kisi vyakti ko nimn raktchaap ka rogi bhi bana sakte hain. Aisa karne ke liye woh us vyakti ko darpok evan nirbal banaa dete hain.
Is kale jadu ke chinnha nimnalikhit hain:
·         Sar mein thodi peeda hona aur uske pashchaat krodh aana
·         Svabhaav mein chidchidaapan
·         Mastishk ke kisi ek sthaan mein peeda hote rahna
·         Sar mein bhaaripan ka aabhaas hona
·         Aisa aabhaas hona maano koi mastishk ko marod raha ho
·         Hridya gati teevra hona
·         Netron mein jalan evan laali
·         Aatmahatya ki pravratti evan apne aap se ghrinaa karna
·         Kahin man na lagana
·         Sar ki twacha ka garam hona
·         Kaano ka laal evan garam hona
Nimn raktchaap karne wale jadu ke chinnha:
·         Shareer din prati din nirbal hote jaana
·         Paeron mein peeda hona
·         Aisa aabhaas hona maano hridya doob raha ho evan koi sankat aane wala ho
·         Hathon evan paeron mei kamkampi hona
·         Shirobhramana ki samassya hona evan netron kea age adhkaar chhaana
·         Aswastha rahna
·         Niraash rahna
·         Chehra ki rangat ka kaala padna
·          Aushadhi se chaen na milna

In prakaar ke jadu tone ka upaay main bataa raha hun:
·         Praatah-kaal mein  Surah Baqarah ke recording ek baar sunein
·         Namaz niyamit roop se padhein evan vastra mein gulaab ki sugandh lagaein
·         Asar ki namaz ke pashchaat  Surah Falaq ki 3 tasbiyon ka jaap karke evan ek pani ki bottle per dum kar lein. Jab bhi uccha rakta chaap athawa nimn rakahaap ki samassya ho to yeh pani pi lein
·         Maghrib ki namaz ke pashchaat Surah Naas ki 2 tasbiyon ka jaap karien
·         Sone se poorva hissar kar lein
Yeh amal pratyek din karien

        

Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com





23 comments:

Anonymous said...

aslamoalekum warahmatullahe wa barakatuho, hazrat mai ek sayl hon or talib b , mai allah rasool ke bad apne murshad sb ke tawasl se ap se allah ki atta krda ilam se faizyab hona or apne intihai bure halat se nijat chahta hon, mai ek la ilaj marz mai mubtila hon , gurbat, mohtaji b hai zarort b h kia ap allah or uske rasool ki rah mai mere kuch kr skte mai ap ke jawab ka muntizar hon

Anonymous said...

Askm,
Mera 3 yrs 5 months ka beta hi bahut achcha tha sirf thoda thoda bolta tha, meri dusri delivery ke baad wo ek ajeeb se harkstein karne lagaye. Naachna akele mei bolna aur hasna. 100 bar pukarne par bhi dekhta nahi .apni dunia mei khoya rehta hi.doctors bolne lage usko dimaghi bimari hogai hi.plz check karke boliye .kya problem hi

imran said...

Aslam-o-alaiqum sir mai janna chahta hu ke muj par koi jadu to nahi hua agha hua hai to baraemeharbani is lo katam karwa de shukria mera naam imran hai sialkot se hu umer 37 saal hai

Anonymous said...

ma ne app se poochna ha mere husband ko kafe sal Canada ma Hoge han un ke paper ma rukawat ha kia perhone ke paper ban jaee

farhan said...

Dear sir, mera name farhan hai meri kamar main 3 saal se dard hai beech main or mere gurdo main pathri hai 4 saal se eye sight bhi week hain jism main kamzori rehti hai jaldi thak jata hon. Sex dimagh main bohot zayada bas gaya hai meherbani kar ke ilaj batayen. Shukria.

Waseem said...

Asalam o Alekum,
Mera nam Waseem hay. mera masla darasal mery BV ka hay 6 sall say hamaray taluqat nahen hata k zarori bat k koi bat nahen hoti. jab say mera business kharab howa hay tub say wo mujh say dor hoti chali gai or nafrat barhti he gai. wo job kar rahi hay or ziyada kama rahi hay. main nay bohat say kam kar k dekhay per har kam main nuqsan howa kion k qarzay bhi hain is leye job soute nahen karti. main susral main rehta hon ghar ka major kharch wo he utha rahi hay. main ye he soch kar bardash karta raha hon k bus ab mera kam set ho jaye ga or halat bhi thek ho jaen gay magar ham aik dosray say door tar hotay ja rahay hain. meray 2 kidz hain main koi ghalat qadam nahen uthana chahta chahta hon k aik piyar karnay wali faimy pher say ban jaye magar mery bv is main koi cooperate karnay ko tayar nahen wo kehti hay k sari zimay dari utha lo main thek ho jaon gi. main Allah say madad he mang sakta hon lar to nahen sakta Jo k mang raha hon.

meri koi bat nahen sunti jahan jana hota hay jati. office k banday k sath lunch per jati hay rat ko phone per lagi rehti hay jo chahti hay pahanti hay. ho sakta hay wo koi ghalat kam nahen kar rahi magar mera khon jalta hay bachon ki wajha say main ye ghar bachana chahta hon plz meri madad karen or koi esi dua batain k wo nek bv ban jaye. main buhat dua mangta hon har namaz main tahajud k bad or rat ko sonay say pehlay istkharay ki dua parhta hon k ager meray haq main behtar hay to Allah is ko meray haq main kar day.

mujhay ksi nay kaha k kisi say bat karo jo koi ammal bataye tub he faida hoga magar main Allah say darta hon k kahen ye shirk na ho k allah nahen chahta or mainn. pata nahen main bohat pareshan hon apnay kam per bhi tawajo nahen day bata. meri bv mujh say ziyada dosron ko ahmit day. dosron say hans hans k bat karay or mujh say nafrat k sath plz bayen main kia karon. mainkisi say discuss bhi nahen kar sakta

Main apna ghar bachana chahta hon apnay bachon ko maa or baap dono ki muhabbat dena chahta hon BiVi say bhi ab tak muhabbat karta hon in tammam baton k bawajood, har moqay per gift bhi deta hon magar wo mujh say ziyada dosron ko ahmiyet deti hay plz meri madad Karen quran or Sunnah k mutabiq mujhay batain k main kia karon k meri bv mujh say shaded muhabbat karnay lagay or hamara ghar janat ban jaye plz main zahni marez hota jaraha hon . Allah ka ye karam howa hay k us nay mujhay apni ebadat main laga diya hay shukkar hay Rab e Rahim ka

Ummed hay reply zaror karen gay.
Allah Ap ko mazeed ezat atta karay.

Anonymous said...

AGR kisi or insan PR kala jadu kia gia ho k ye us lrki s nafrat kry or rishta na kry es ka kia solution h?????

tanveer said...

a.o.a amel sahib,
mera naam tanveer hai , mujy aapki madad ki zarorat hai. taqreeban jab sai hosh sahmbala hai tb sai ghar mai khabi kabaar raat ko darta hu, sirf mai nahi bal k puaray ghar waly dharty hai. aaj kal tu chat mai ajeeb ajeeb awazain aati hai, jesy koi charpai ghaseet raha hu kahbi thak thuk huti rahti hai, khabi koi pather phankny ki awazain aati hai. ghar mai koi kaam krny ka dil nahi krta hai, bahir rahu tu tabiyat achi rahti hai ghar ao tu ajeeb si tabiyat rahti hai.

kia aap bata sakhty hai k humaray ghar mai kia masla hai,

mai ap k jawab ka intizar kr raha hu

sumaiyah said...

ASALAM O ALEKUM
Mai ny searching krtay hway apki website ko parha
Aur apny jo kalay jadu ki conditions batae howe thi wo b parhi
Mjhay ye maloom krna hai k kya mjhy py b kala jado hwa hai ? Agar hai toh plz iska tor btaen ?
Kuky bht se alamat mery sath b hain
I AM LOOKING FORWARD TO YOUR reply
THANKYOU!

NAFEES said...

Respected Sir

sir main bhut muskil main hon. aaj se 6/7 sal pahlay main saudia main tha mujhe pr jado howa. mujhe pata ni tha maine kafi medical ilaj krwaye mujhe koe fayeda nahi howa 2 maheny tak ilaj krwata raha us time mary walid zinda thy un ka accident ho gaya tha. or wahan mujhe pr jadoo. jb main ghar walo ko pocha to us time un ke buzrug 1 maheny tk aastany main nahi aaye. main bemar parda raha. kher mary walid mari sotali ma ko ly kr kise ke paas gaye or unho ne bataya k kala jado krwaya gaya hai. or ye ic ke bhan or 1 orat ne mil kr keya hai. kher phir ghar ke aastany main un k hazari howe or ic ilm k kaat howe. main thek ho gaya lakin ye amal cantineo raha or main wahan ulahjta gaya or 1 jhagrdy k case main mari nokari khatam ho gaye. or main pk aa gaya. mera sara pesa lose ho gaya. lakin ghar k aastany se koe fayeda ni howa. 6 maheny saudai main case k baad main pk aaya to main ne apny walid ko samhjaya k ye galat hai unho ne mari ek na sunni kher wo bad rest pr thy ic waja se maine zayda kuch na kaha orchup chap raha kher 5 sall phaly mary walid ka intikal ho gaya tha un ke marny k baad main sub kuch dekhta raha mari sotali ma ne mera ghar ka saman chori kr ke apni bhan ke ghar muntakil krna shro keya. mai sub dekhta raha mary ghar k crayedar Randi 1 sal tak mary ghar main chakla chalati rahi khamoshi se main chup chap dekhta raha. aaj 5 sal ho gaye mary walid ko intkal ko us orat ne apny sary kaam kr leye or aastana b chal raha hai. aap log he bataye jis ghar main ye kaam ho mari walda namaz 1 time k b nahi pardhti to un pr kise ke hazri ho sakti hai wo koe ganda jin hai jisy shansha jinat kahty hai. itny din chup rahny k baad jab main step uthaya to. ab unho ne mujhe pr jado shro krwa deye. main tang aa gaya hon bhut toot gaya hon passo main b or jismani b. maine fatwy b leye aalimo ke unho ne kaha k ye sub galat hai aap ise rooko. mgar kase khu yea sub deen ke aalim mary saat khardy ni hoty main akela kya kr longa. wo to kher apny dost se kaat krwata hon to passy ni lagty warna main to road pr aa chukka hota. mujhe aap logo ka saat chahye mary leye ni to hmary deen ke leye h dy den. aap log to achy aalimy den ko janty hongy. kam se km un se rabta kreen mary masly k leye. kam se kam us gandi orat ko cafy krdar tk pohnchayen . plz aap ka bhut maskor honga.

Anonymous said...

Guru ji Hum bhot jyada pareshan hai please apna koi contact number btayen jis se hum apse bat kr sake apse milke apni saari preshani bta sake.. humari madad kijiye bhot badi problm main fase hue hai hum kuch bhi samjh nahi aa rha hai kya kre.. please hume koi rasta btaaye apki badi Meharbaani hogi..

mehzabeen said...

Assalmoaleykum bhai mujhe ye puchna hai mere sohar business men hai pehale to bohat accha tha sab kuch par aaj kal bohat paresan. Hai aur karze bhi bohat ho gaye hai.
Aur ek sawal aur mere sohar mujh par aur bhcho payr bilkul bhi bhiyan nahi dete hai plz bhai meri paresani ko hal kariye mera naam mehzabeen hai

Anonymous said...

Dear Haji saheb

Muje 2 saal se Yah prob ho rahi hai ki
1) pahale Mere Muh se Bahut Badboo Aa rahi tthi badme
2) Fir Naak me Se Jo Saans Chodte hai Usme se Ghandi Badboo Aa rahi hai
3) dil me Darr Rahana
4) Khud ko kamjor samajana

Please Muje Ilaz Bataiye
Please Reply

shehbaz said...

Helo sir mera nam shehbaz ha meri wife hmari 1 jan 2015 ko shadi hui ha abi thori dair hui ha shadi ko to hmary darmayn lerai jhagray suru ho gaye ha meri wife ki vja s meri rista daar b choot rahy ha kiya vja s mjy bta sktay ha ap

nasir said...

Assalam alikum mera naam nasir hai Jammu, Jammu and kashmir India se meri sehat bahut khraab rehti hai mere stomach mein aur intestines mein bahut pain hai pichle 7 saal se, mera business bhi zero ho gaya hai sirf nuksaan koi customers nhi aate koi paise nhi kch help karein plz

jia said...

Assalam u alikum ,apki bl0g me chirag se jadogar ko jinnat ko jalane
ka amal jo diya us me victim ka nam kaha likhna he ? Or kia ye amal
100%kam kre ga q k me b0ht pareshn ho . or ye kis saat me jalana he ?
or jalane k bad hasar kesy khatm kre ? or kia ye amal me khud apny
liye b kr sakty ho.umeed he k ap jawb zaror den gy Allah hafiz dua me
yad rakhze ga.

Anonymous said...

Bhai main ake private company main
mulazmat karta hoo arsa 9 sal sey ake hi jaga kam kar raha hoo taraqi key
koi chances nehi yaha magar mere ghar key kuch halath hai jin ki waha sey
main kuch kar nehi pata, mein ney out of pakistan key ley kafi kohsish kii
magar mera jamah ponjii zayah hoo gyi joo salary milti hai us main ba
mushkil guzarah hota hai mere wald sab cardio vascular herat aur paralized
hai aur walda mentally patient haii ake elder bhai hai ju ab koi kam nehi
kartay, hepatatis key patient hai woh hum ney bohat hi acha wakt guzara
hai Alhamdolilah magar meri pay itni nehi jo main apny partents ka kuch
bojhh halka kar sakoo sary ghar kay bills kids ki school fees aur apna
kaharcha ba mushkil kar pata hoo sary relatives out of pakistan hain magar
koi kam nehi ataa sub tamashah dakhtay hain apni sari khuwahisat khatam
kar chuka hoo hum ake combined family main rahtay hain, Allah pak key
karam sey mere two kids hain Abdulrahman aur Marium un ki age 7 aur 6 sal
hai, Kehna nehi mantay, ap ney apny aj key program mein btya tha key ap 17
aur 18 ko pakistan main majood hoo gyee too Haider bhai agar ap mokha
anayat kary too kia ap sey mil sakta hoo main app sey milna chatha hoo
agar nehii too ap mujay btia kub acha time aye ga kia wajah hai key hum
sub logo ka graff din ba din nechay ho raha hai main chahtha hoo key
humray halath tekh hoo jaye kia main bhar joo gaa tub halth tekh hoo gyee
mujay bohat fikr hai zindgi main kuch karna chahtah hoo raja bhai, ap ko
jaysay email mily too pls mujay foran reply krye main ap ki email ka
intzar karo ga,


Ap key fori jawab ka intzar rahy ga mujay app koi wazeefa bta dye ya apny
pass any ka ake mokha anyat karye Khuda ap ka Hami o Nasir ho.


Khuda Hafiz

vinod said...

SIR ..


APSE ARZ YE HAI KI MERI MA BIMAR HAI USSE GHABRAHAT AUR GAS BECHAINI AUR PEETH ME JALAN KI SHIKAYAT HAI AUR KOI BHI DWAI KAM NHI KAR RAHI HAI KOI UPAY BATAYE PLEASE ..

sheraz said...

Asalam o alaikum Qari sahab
Mujhe aisa kiya kerna chahiye k shaitan aseb jaadu or jinnat mere ghar or hum sub ko chor ker chale jayen
Aisa koi ilaaj bataye plz

Anonymous said...

Salam kasay ho teek taak ,year muje koi aisa opai(taweez,tareekajado) btaday jis say nokri mil jahay barhi mahrabani hogi apki

gupta said...

Hello..Mujhe AAP ka contact no mil shkta hai kyo ki mai apni problem phone par hi samjha shkta hu .is time hum ese mod par hai yha se Koi chamatkaar hi bacha shkta hai ..please mai India se hu ..apka website net par Mila tha ...Apse hi umeed hai please mere papa se baat kijiye or problem ka Hal nikaliye ..

shala said...

Asalam-o-alikum,

mera name Shala hai husband shadi ko 4 sal ho geay hain us sa pehaly 2 sal nikha raha . nikha sa pehaly maray shor Uk main thay likan Rukhsiti k bad un ka khain ka b koi kam nhi ho raha na hi yhan koi job ho rahi hai .. mare tabiat b boht kharab rahati hai ....

Rehaan Sayyed said...

Har taklif ka ilaaz hai

Related Posts