Amel Soname Contact

agar kisi ko hum se contact karna ha to wo email ka zarya hum se contact kareen . dhoka bazoo se hoshyaar rahe jo amel soname naam ki jaise email,website, ya social media websites per id ya telephone number dal kar logo ko dhoka de rahe ha or apna app ko amel soname naam ka bohat bara Amel ya jadugar bata kar logo se paisa lay rahe ha . hamara ahsa logo se koi talooq nahi ha or na he hamara ahsa logo se kohi talooq ha jo amel soname naam se astana ya office khul ka betha ha . hamare kohi telephone support nahi ha. hamare sirf email support ha .is email k ilawa hamare kohi dosare email support nahi ha .email yeah ha amel_soname@yahoo.com

hamara is website www.amelsoname.com se kohi talooq nahi ha yeah hamare nahi ha or na he hum se munsalik ha

Saturday, April 26, 2014

JADU TONE TILISMAAN KA QURAN SE UPAAYA

ASSALAM OALAIKUM,

Jadu tone ke shetra mein ek prakaar ka jadu tilisman dwara kiya jata hai. Tilisman se yeh tatparya hai ke kuch ajeeb se aksharon ko kisi kagaz per likha jata hain. Yeh akshara kisi sadharan vyakti ke liye aspashta hote hain parantu un mein aseem shakti chipi hui hoti hai. Isi shakti se jadugar laabh uthaa ker victim per jadu kar dete hain evan usko apratikaarya haani pahuncha dete hain.
Is tilism ko kabhi purani qabaron mein gaadh diya jata hai athwa in ko jala diya jata hai. Yeh tilism jadugar ke kiye hue jadu se bhi sheeghra apna kaarya karta hai aur victim ke jeevan per sheeghra dushprabhaav daal sakta hai. Tilism amalyaat evan taweez se adhik shaktishaali hota hai evan jab jadugar is ka prayog karte hain to yeh kewal 5 minute mein hi dushprabhaav daalna aarambha kar deta hai.
Tilism anek prakaar ke hota hain. Jadugar chahe to woh in tilism ke dwara kisi ke vyavasaaye mein  baadha daal sakta hai athwa kisi ke vivah mein rok laga sakta hai.
Tilismi jadu ke chinnha nimnalikhit hian:
·         Yadi tilismi jadu kisi victim ka swaasth kharab karne ke uddeshya se kiya gaya ho to victim ka chehra kala pad jata hai, chhaati mein peeda hoti hai, shareer mein jwala bhari hui hone ka aabhaas hota hai kyunki adhik garmi lagti hai evan sar mein peeda hone lagti hai.
·          Yadi tilismi jadu kisi victim ke kaaryon mein baadha daalne ke uddeshya se kiya gaya ho to har kaarya ante bante ruk jata hai evan din ba din victim ko haani hoti hai.
·         Yadi victim ke vivah rokne ke uddeshya se tilasm dwara jadu karwa gaya ho to victim vivaah ke naam se ukta jata hai evan ekaant mein rahne lagta hai
Tilasmi jadu ka upaaya yeh hai:
·         Namaz niyamit roop se padhein
·         Fajar ki namaz ke pashchaat roz Surah Nisa sa-swar padhein
·         Roz snaan karien
·         Allah (swt) ke naam per 10 minute tak apna dhyaan kendrit kiya karien
InshaAllah sheeghra hi is samassya se chhutkara praapt hoga

     


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com





25 comments:

gupta said...

Hello
My name is gupta
Maine aapki post dekhi.main bahut pareshan hu plz help me.meri shadi ko 4sal beet gaye h shadi k 1week bad hi meri sas ne or nand nandoyi ne meri kokh bandhwa di jiska pata mujge uske baby hone k bad pata laga.unlogo ne mere husband pr b tona karaya hua h .kisi or lady ne b use 10sal se tone kara k rakha hua h mera divorce ka chal raha h or wo log lagatar jado karate rahte h .abhi tak mc phir b aato thi but is month se wo b band ho gayi.kareeb rk sal se mujge ye pata chala h bahut logo ko dikhaya but aaram ni hua.un logo ne hindu or muslim dono tareeko se karaya hua h .mera kokh bandhan ki kaat bataiye or sath hi mujh pr 5spirits h unka tod b bataiye. Maine ek hafiz ji ko b dikhaya tha but unse b sahi ni ho paya.plz meri help kijiye .wo log divorce me b pareshan kr rahe h .or mere ghr walo pr b kara rahe h .meri or mere bhai ki maran b kara di h.plz help me bahut pareshan hu.kya kokh bandish ab kabhi theek ni ho payegi. Un hafiz ji ne bataya ki ye b shadi se pahle se ji sochi samjhi chal thi.but maine or mere parivar ne unka lya bigada tha hum to un logo ko jante b ni the.kya sahi hone ka reward ye milta h.plz help me .

Chisti said...

Assalamu alaykum warahmatullahi wa barkatahu.
Mera naam Chisti hai
Main gujarat se hu.
Mene aap ka pura page read kiya.
Kafi samajne mila muje.
Kafi sikhne ko aaya.
Log kehte hai ke aale Rasool pe jadu ka asar nahi hota
Par main kahi salo se paresan hu.
Muje taifoid bhi huva hai
Aur bohot kuch problem hai
Jo aapne yaha nahi likhi hai
Muje kuch aisi bhi problem hui hai.
Jo aapse share karna chahta hu
Aur insha Allah uska tod mile to huq taala ki di hui zindagi ka sahi istemal kar saku.
Kya aap mujse call pe baat kar sakte ho.
Aapki Izazat ho to me apna cell phone number aapko du..
Dua me puri ummat ko yaad rakhna.
Allah hafiz

Tariq said...

Dear sir,
My name is Tariq or ma 5 month sy Europe ma hon or yahan visa my liye apply kiya but refused ho gaya ha Mara Pakistan ma achi nokri the but yaha visa apply kiya or lag gaya an ma NY case dala ha but nhi howa an samajh nhi ata kiya karon ya to itley chala jawon pak ma bachay bhi ha or yahan koi kam nhi an tho family kehte ha my bandish ha or 5 time nimaz parta hon Quran parta hon but pareshan hon ky kiya karon ap plz bataye ga ky koi bandish to mhi ha. Allah apko jazaye khair day Amin

harsh said...

Hello sir mera naam harsh hai me dehradun ka rehne Wala hu sir meri date of birth 23/12/1991 din Monday ki hai. Sir mera aapse yeh qution hai ki me pichle do saal se ghar par hi baitha hu me Jo bhi kaam karta hu vo band ho jata hai jis jhg bhi interview Dene jata hu vha se bhi koi baat ni ban pati abhi kuch time pehle mene karje me paise lekar apni shop kholi lekin kaam shi na hone par vo bhi band ho gayi.me bhut karje me hu or abhi mene property dealing ka kaam shuru kiya hai lekin usme bhi mujhe koi benefit ni mila btao sir me kiya kru ya kiya kaam kru jisse me bhut income kma sku

maliha said...

Asalam u Alikum
Sir main bht parehsan hun main nay jub bhe hisab nikalwaya hai bht bura aya hai jadoo bandish aur mera her kaam ghalat ho jata hai kia aap meri kuch help kr saktay hain

Sumit said...

Sir im Sumit from bhopal(M.P)
sir 7-8 saalon se bahut jaada pareshan hoon kuch samaj me hi nahi aa rahn hai kya karron by religion me Hindu hun
1)Bachpan se hi mujhme Darr aur Depression rehta tha
2)Bachpan se hi Hand writing me problem rahee jisse ki studies pe bhi bahut farak pada hai
3)Bahut saare digestive Diseases ho chuke hai mujhe
4)Medicines kaam hi nahi kar rahin hai
kabhi bina medicine k hi thik ho jata hun mere saath bahut ajeeb si cheezein ho rahein hai
5) 24 ghante mann me suicide k thought ate rehte hai
6)mein baar baar bimaar padta jaa rahan hoon medically bimaari dhang se samaj me aa hi nhi rahin hai
7) Pichle 6-7 saalon se tantra mantra aur bhoot pret(jinn jinnat) related badha bhi aa rahin hai
8) kai alimon ko panditon ko tantriko ko aur augado ko bhi dikhaya parr bas kuch din halat thik hote hai phir wase hi hojate hai
please help me

Vijay said...

Dear Sir,
Mera naam Vijay hai. mai san 2008 se nimanlikhit se
grahst hun, jaisa ki mene kalu jadu ki pahchan padhi to inme se bahut
sari se me grahst hun
1. san 2008 december mahine se swas rog hai ,dawai lene se aur ziada
preshani badhti hai.suruwat me to lagta hai ki ye dawai kam kar rahi
hai lekin baad me preshani badha deti hai.
2. din me rojana 8-10 baar pakhana jata hu ,din bhar peshab atta rahta
hai . kafi dawai li lekin aaram nahi.
3. khali pet yanni ke kuchh bhi khane par bhi badbu daar paad aata
rahta hai. lagatar 2-2 minute me.
4. seer me bar bar dard hota rahta hai. jaise kishi ne jakar rakhkha ho.
5. chhati me bahut tej jalan ho jati hai.
6. pure din sareer me thakawat rahti hai.jaise mene bahut kaam kiya ho.
7. pure sareer me kamjori mahsus hoti rahti hai.
iske alawa bhi bahut sare rog hai.mene bahut jagah jadugaron se ilaz
karaya, 1-2 mahine thik ho jata hu phir wahi baat.
mein janna chahata hui ki mujhe kya beemari hai .agar jadu ka rog hai
to kyo aur kisne karaya hoga(sanket me bata sakte hai) ya achanak hi
koi saitan ne mujhu jakar rakha hai.
ilaz kya hai aur kaise hoga.

shabana said...

Mara na shabana ha maa ka name abida taqriban 20 sal sa bimar hon moshan atay han uor pat ma dard rahta ha bohot ilaj karwati hon sahi nahi hota

Anonymous said...

AOA,sir ,meri family main mami papa hm 4 sis or aik bhai ha.hm middle class log apna aam se ghar main rehta hain.
mami papa parhay nahi hain lakin hm behan bhai intelliigent thay parh gaya.meri sis choti matric main thi k uski sahali jo hmara gar k pas rahti ha uski suuply agayi or meri sis halanka bht bemar hogayi thi lakin phir bhi uskay achay marks agaya.un logoun ne hmnsa bat karni chordi aiksal.or meri us sister to t.b ki bemari hogayi .2 sal elaj k bad wo thek to hogayi.lakin ab wo jo chiz bhi khati ha kahti ha mera dil gaya .meri darkhan teiz horahi ha ,mja sans nahi araha .roz din main seinkroun bar wo yah jumla bolti ha .doctor ko dikhaya ha lakin uski smjh main nahi ata.us friend ki khala hmara sath wala ghar main rahti ha wo b tawiz dhaga karwati ha.mja shak ha meri sis per in logoun ne kuch karwaya hua ha.or hmara ghar main koi traki hoti bht mushkil se ha.bohat rakawatain ati hain.hm bachpan se tootay photay gar man reh raha han.
main namaz bhi parhti hun Quran sharif bhi lakin apki nishaniyan dakh k mjhay cnfrm hogaya ha mj per sex magic hua ha.Wo to Allah ki zat ka be panah karam ha k maina asa koi ghalat kam nahi kiya lakin mja aksar balka aik lamba arsa se aisa khayal araha hain or damagh kam nahi karta.
ap plz mjhay iska koi hal btayan k ham kaisay in hasdeen k hamloun se mehfouz rahain or jo hmari traki ki rah main jo rukawatain hain ALLAH hmain unse door rakhay.or mjh smait sb ghar wala bemar bhi rehtay hain .uska bhi hal btadain.
reply zarour kijya ga.thanks

ajay said...

Khuda ke nek bande ko mera salam.

Upper wala apko khub rehmat bakshe.

Ek prashan karna chahta hu apse mujhe bilkul khushbu nahi ati na hi badbu yaha take ki mujhe apne sharir ki badbu bi nahi ati. Samjh nahi ata kyo. Agar apke pas koi jawab h to bata do. Mujhe lagata h aisa ki mere sath kuch galat hua h par Karan nahi pata chal pa raha. Maine ek do logo ko dikhaya tha par unko pata nahi chal paya bus bolte h ajayegi khushbu. Doctor bolte h operation hoga. Par mera dil jawad deta h ki cheej mere under kahi h par aisa lagata h jab mai kahi dikhane jata hu to ye shayad nikal jati h. Par abhi tak clear nahi ho pa raha. Wahi bat apki dhayan agai jisme apne likha tha har bimari ka alag doctor hota h.

Agar apko kuch pata chaley to mujhe bathye.

Thanks

shaina said...

Asalamualaikum mufti sb
mera nam shaina ha ma bohat pareshan hu mere zndagi bohat achi guzr rahi thi 3 sal hue mere shadi ko 2 sal ka beta ha mere shuhar na achanak bilawaja dosra nikah kerlia ma pochna chahti hu k kahi jadoo wagaira tu nh hua kuch ke muje shak ha
pl zzz help me

saif said...

asslamo alykum amel shib kfi ersa cy main job te talash main hown ap
mujhy hesab kar kay bta dain kia meri job lag jay gee main apka bhot
he mamnown hown ga

shahzad said...

Asslm,

Meri bahoot achchi naukri thi, ek saal pahle office mai MAKHEYA aane shuru hou aur achanak NAUKRI khatam ho gaye. '

Aaj saal bhar se berozgar hoon, qarz mai mubtala ho gaya hoon, ghar main BIwi se bahot ladayee hoti woh dekhna pasand nahi karti hai.

'Please batayee Kisi se kuch kiya to nahi hai, SEHAR , NAZRE BAD,

Namaz padhta hoon, quran padtta hoon, darood shareef padta hoon, '
lekin masla hal nahi ho raha hai, Abhi January se ek jagah naukri ki baat ho gaye leking abhi tak join nahi kar paya hoon. ''

Koi wazeefa bateye jis se sukoon aure rozi barkat ke sath hasil ho, biwi bachchen mohabbat karen.,

ajaj said...

asalamwalekum janaab mera nam ajaj hai mai pichle 6 saal se
bimar hu mujhko subah fazir ki aazan ke time ya namaz ho jane ke baad
meri tabiyaat kharab ho jati hai mujhko left hand mai halka sa jhun
hote hue pure badan akaar jata hai aur muh se tezi se hawa aur aawaz
nikalne lagti hai aur ye sab har 15 din mai hota hai maibahut paresan
hu meri madat kare please

Anonymous said...

A.o.A naik umeed or duan ke sath k allah aap ko kush rakhy . muhtaram mera masla yeh hai k pechlay kuch salon se karobar main bohat nuqsaan horaha hai or qarz pe qarz berhraha hai or samaj se bahar hai k kia karon is ke elawa sugar bhi hogai hai or ik kan main awazin musalsal ati hain maslan jesay train guzrahi hoo.

allah janta hai yeh kisi ki shararat hai ya Allah ki azmaish kia aap apnay elim se wajah maloom karsaktay hain.

neeraj said...

dear sir m bahut pareshan hoon kai mahine se .mere ghar m sab kaam ulte ho rahe h . m ek company m job karta hoon .par kuch din company jata hoon to kuch na kuch ho jata h .kabhi meri tabiyat kabhi meri wife ki tabiyat kharab ho jati h.mera dimag Kuch bhi kaam nahi kr pata kuch yaad bhi nhi rahta.mere sarir m dard rahta h.pet dard to kabhi bhi ho jata h.test karwaye to shirf pet k nalo m sujan aati h.kisi saks se puchha to usne bataya tha ki kisi ne kuch karya h .abhi m ek mahine se company nhi gya hoon.maine apnr sahab ko bataya tha ki m upri hawa se preshaan hoon .to usne kaha ki ye sab jhut h .es time m shirf vigyan ke chamtkar hote h.wo kahte h ki m bhut .bhagwan kisi ko nhi maanta .aur mujhe aaj tak kuch nhi huwa.ab mai unhe kaise batau.wo yakin nhi karte .plz sir help me.

fareeha said...

AOA

mera naame fareeha hay...bahoot se alimooo se rabta kiya...kehtay hien kay jadoo hay....kon karta hay yeh bhi maloom hay...target humara karoobaar aur humaray rishtay na hona hay...mera bahi sabse zayda is par asar hay...20-22 saal hogaye hein...aap ka bhot suna hay, agar aap kuch waqt humaray liye bhi nikal sakey toh meharbani hogi...koi aaj tak humara mukamal ilaaj nahi kar saka...hum sialkot mey rehtay hein.

jawab ka intezaar rahey ga

Anonymous said...

Mera ek dost hai jo last 8 monthse kafi pareshaan hai aur tabiyat bhi
teek nahi hai.

uska naam Saifulla hai kya aap bata sakte hai ki uspe koi kala jadu
huwa hai kya?

age - 33 years

pawan said...

assalam oalaikum bhaijan main ajse 10 sal piche 2005 men train men ja raha tha wahan train men koi jaga nahi mili to me ek budhi aourat ke samne beth gaya bich main ek station aya usne mujhne ghurna suru kar diya main samjha ye dayan hai main wahan se jaise bhagne ki kosish kya usne mujhe electric current jaisa jordar jhatka diya uske bad main ghabra sa gaya pura dar gaya mera dil jorse dhadakne laga as pass ke logo ne meri madat ki aour mujhe gharbhijwaya tabse mera dimag thik nahi rahata log mujhe pagal kahate hain piche se to koi kya keheta hai dawa le raha hu dawa jab tak chalu reheta hai main thoda thik rehata hun nahi phirse gadbad ho jati hai allla se dua karta hun ki aap meri madat karen.

farooq said...

Salam bhai jaan.mere ooper kala jadoo kiya gya hai jis ki wajah se mere dil pe kisi time achanak ghabrahat hoti hai aur bht tallest hoti hai tabiat bechain rehti hai sir main jakran c rehti hai raat ko neend bht kam ATI hai kisi time jisam be jaan ho jata hai kisi time aise lagta hai jaise meri charpai ko koi zor zor se hila raha ho.dil ki dharkan b tez rehti hai jisam b garam rehta hai.ankhon k aagay andhera b cha jata hai .plz es ka tor batain main bht preshan hun.thanks

dinesh said...

assalam oalaikum
mere naam dinesh hai aur main dailhi mein rahata hoon .
mere pet roz dard rahata hai gud gud kee aavaaz ati hai aur theek ho jaata hee pair thodee der baad phir se vohee hota hai .
mainne sabhee bhagavan , peer baaba , allaah , god sabhee se apane theek hone kee bheek maangee par mein theek nahin hua . daava bhee bahut khaee mainne .
kya aap oopar vaale ko bolakar mujhe theek karava sakate hai aapakee bahut kirapa hogee.

lata said...

baba ji me jish larke se baat karti thi uski sadi kahi or ho rahi hai wo mojse sadi karne wala tha pata nahi osko kya ho gaya muko lagata hai oske ghar walo ne osh pe kuch kar wa diya hai me oske bina nahi reha sakti kuc upay batao ple

raja said...

Sir main ek gaon ka rehwasi ho hmare ghar m jado bohat hota hey meri maa
per hmare ghar m brkt ni hmare field m Jo b fasal hota hey WO khtm hojata
hy jhagre chhoti chhoti bat py main modern type ka lrka ho pehle ye manta
ni tha per net per research krne k bad yaqeen hogaya hey mre maa per salo
se jadoo horaha hey mre ghar Waly kr rhe
Ap ko Allah ka wasta mujhe hal btae me tu pagal hogaya ho roz roz k tamashe
se mehrbani karke koi hal btaye apko Jo chahiye m doga per mujhe masla
solve krke do

Anonymous said...

Enter your comment...mare vi ak problem ha.plz app k sath kase contock karu

Anonymous said...

Hello,

Sir meri nani ko kisi ne phoola rog ka jadu kraya h. 3 month hone wale h ab to vo medicine v khati h to ulti ho jati h please ap koi upay btaye . Right hand wali body kam nhi kr rhi h. Dr. Ne bataya tha k brain me clot h vo clot to medicine se thik ho gya h lekin abhi v unki halat phle se kharab ho gyi h. Dwaiya asar nhi kr rhi. Nali se juise k dwara khana khilaya ja rha h. Vo v ulti kr k bahar aa jata h. Please ap apna address btaiye jishse apse mila jaya sake or ya to reply se bta dijiye upay ya apna koi contact no de dijiye

Related Posts